Riyaz Khairabadi

dushman ki taraf ho ke nikalne nahin dete

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
dushman kī taraf ho ke nikalne nahīñ dete
ham ko vo burī raah bhī chalne nahīñ dete
āñkheñ hameñ talvoñ se vo malne nahīñ dete
ham chuTkiyoñ se dil ko masalne nahīñ dete
kahte haiñ mai-e-nāb hasīnoñ kā hai joban
ham bazm meñ apnī use Dhalne nahīñ dete
vo kyā lahd-e-ġhair ko pāmāl kareñge
chalte hue fiqre bhī to chalne nahīñ dete
jaltā huuñ bachāte haiñ use soz-e-darūñ se
dushman ko mirī aag meñ jalne nahīñ dete
nāzuk hai mire naḳhl-e-tamannā kī har ik shāḳh
is ḳhauf se vo phūlne-phalne nahīñ dete
kab bose liye un ke jo bal khaa.e haiñ gesū
tum gāloñ ko kyuuñ zahr ugalne nahīñ dete
aa.ī hai ye kahtī huī kis kī shab-e-furqat
ham rañg zamāne ko badalne nahīñ dete
Dar hai na dupaTTa kahīñ siine se sarak jaa.e
pañkhā bhī hameñ paas se jhalne nahīñ dete
kyuuñ ham ko jalāte ho dam-e-vasl ye kyā hai
kyuuñ phūñkte ho sham.a ko jalne nahīñ dete
hai jaan mirī kashmakash-e-naz.a meñ din-rāt
armān to kyā dam bhī nikalne nahīñ dete
khulne nahīñ dete kabhī kam-zarfī vaa.iz
ham riñd pilā kar bhī ubalne nahīñ dete
jaatā huuñ to aatī hai yahī tuur se āvāz
ham dekhne vāloñ ko sambhalne nahīñ dete
kyā kaam 'riyāz' aane ko sau baar bahār aa.e
ham ko ye hasīñ phūlne-phalne nahīñ dete
Top Urdushayar.com