kyā lutf masāfat meñ ki Dar koī nahīñ hai
paanī kā safar aur bhañvar koī nahīñ hai
phir kaun hai sāhil pe jo rukne nahīñ detā
vīrān jazīroñ meñ agar koī nahīñ hai
ik chaap utartī hai dar-e-dil pe har ik shab
dekhā hai ka.ī baar magar koī nahīñ hai
tum merī masāfat ke liye āḳhirī had ho
ab tum se pare rāhguzar koī nahīñ hai
har shaḳhs hai jaise koī vīrān havelī
likkhā hai ye māthoñ pe ki ghar koī nahīñ hai
hai apne muqaddar meñ yahī tīrgī 'ḳhurram'
ab raat ke dāman meñ sahar koī nahīñ hai