ujālā kaisā ujāle kā ḳhvāb lā na sake
sahar se maañg ke ham āftāb lā na sake
ham apne chehra-e-be-dāġh ke liye ai aql
tirī dukān se koī naqāb lā na sake
jo chāñd par bhī ga.e ham to ḳhaak hī laa.e
zamīñ kī nazr ko ik āftāb lā na sake
ga.e to the tire jalvoñ ko jāñchne lekin
bachā ke ham nazar-e-intiḳhāb lā na sake
zamīñ kī baat zamīñ kī zabāñ meñ kahnā thī
ham āsmān se koī kitāb lā na sake