Ezaz Afzal

ruswa bhi hue jam paTakna bhi na aaya

Ezaz Afzal

Kolkata, West Bengal, India

1936
rusvā bhī hue jaam paTaknā bhī na aayā
rindoñ ko salīqe se bahaknā bhī na aayā
vo log mirī tarz-e-safar jāñch rahe haiñ
manzil kī taraf jin ko humaknā bhī na aayā
thā jin meñ salīqa vo bharī bazm meñ ro.e
ham ko to kahīñ chhup ke sisaknā bhī na aayā
ham aise balā-nosh ki chhalkāte hī guzrī
tum aise tunuk-zarf chhalaknā bhī na aayā
ham jaag rahe the so abhī jaag rahe haiñ
ai zulmat-e-shab tujh ko thapaknā bhī na aayā
lalchā.ī koī zulf na machlā koī dāman
is baaġh ke phūloñ ko mahaknā bhī na aayā
kam-baḳht sū-e-dair-o-haram bhaag rahī haiñ
gulshan kī havāoñ ko sanaknā bhī na aayā
lahrātī zarā pyaas zarā kaan hī bajte
in ḳhālī kaToroñ ko khanaknā bhī na aayā
Top Urdushayar.com