ham ne maiḳhāne kī taqdīs bachā lī hotī
koī botal to yahāñ ḳhuun se ḳhālī hotī
is kī buniyād agar zohd ne Daalī hotī
diin kī tarah ye duniyā bhī ḳhayālī hotī
anjuman dāġh-e-jigar kī mutahammil na huī
kaash ham ne bhī koī sham.a jalā lī hotī
sach to ye hai kahā gar jurm na sābit hotā
ham ne ḳhud maañg ke jiine kī sazā lī hotī
aaj is moḌ pe ham haiñ ki agar bas chaltā
lauT jaane kī koī raah nikālī hotī
tum ne qānūn meñ tarmīm kī zahmat kyuuñ kī
ham ne ḳhud qaid kī mī.ād baḌhā lī hotī
vus.at-e-shauq ne rakkhā na kahīñ kā ham ko
varna har dil meñ jagah apnī banā lī hotī