har ek gaam pe āsūdgī khaḌī hogī
safar kī āḳhirī manzil bahut kaḌī hogī
ye apne ḳhuun kī lahroñ meñ Dūbtī kashtī
bhañvar se bhaag ke sāhil pe jā paḌī hogī
musāfiro ye ḳhalish nok-e-ḳhār kī to nahīñ
zarūr paañv tale koī pañkhuḌī hogī
tire ḳhulūs-e-tahaffuz meñ shak nahīñ lekin
havā meñ ret kī dīvār gir paḌī hogī
nizām-e-qaid-e-musalsal meñ kaisī āzādī
khule jo paañv to hāthoñ meñ hathkaḌī hogī
tire farār kī sarhad qarīb thī lekin
mirī talāsh zarā duur jā paḌī hogī
tumhāre daur-e-musalsal kī munzabit tārīḳh
hamāre raqs-e-musalsal kī ik kaḌī hogī
mire gumān kī buniyād khokhlī niklī
tire yaqīñ kī imārat kahāñ khaḌī hogī