jab phail ke vīrānoñ se vīrāne mileñge
dil khol ke dīvānoñ se dīvāne mileñge
ai kū-e-ḳhamoshī kī taraf bhāgne vaalo
har gaam pe afsāne hī afsāne mileñge
zanjīr liye hāthoñ meñ kuchh soch rahe haiñ
zindāñ meñ bahut aise bhī dīvāne mileñge
jo garmī-e-mahfil se jalā lete haiñ sham.eñ
parvānoñ meñ kuchh aise bhī parvāne mileñge
haañ dekh zarā phail ke ai tishnagī-e-shauq
har jaam meñ simTe hue mai-ḳhāne mileñge