ai naqsh-garo lauh-e-tahrīr hameñ de do
ham apne musavvir haiñ tasvīr hameñ de do
āġhosh-e-kamāñ ab tak afkār kā ḳhālī hai
tum apnī nigāhoñ ke kuchh tiir hameñ de do
kyā tol rahe ho tum hāthoñ meñ ḳhirad-mando
zevar ye junūñ kā hai zanjīr hameñ de do
ai ḳhālī kaToroñ ke be-kaif nigahbānoñ
mai-ḳhāna hamārī hai jāgīr hameñ de do
tum to na jhukā paa.e gardan dil-e-sarkash kī
ai ahl-e-sitam laao shamshīr hameñ de do
āshufta lakīreñ haiñ tahrīr kī nau-mashqī
likh leñge hamīñ lauh-e-taqdīr hameñ de do