dars-e-ārām mere zauq-e-safar ne na diyā
mujh ko manzil pe bhī zālim ne Thaharne na diyā
raqs kartī rahī tūfān meñ kashtī merī
merī himmat ne mujhe paar utarne na diyā
zindagī maut se bad-tar thī par ai va.ada-e-dost
lazzat-e-kashmakash-e-shauq ne marne na diyā
multafit kal nazar aatī thiiñ nigāheñ un kī
kahīñ dhokā to mujhe merī nazar ne na diyā
yuuñ to rahne ko pareshānī-e-ḳhātir hī rahī
terī zulfoñ ko magar maiñ ne bikharne na diyā
phuul to phuul the ai ḳhāna-bar-andāz-e-chaman
tū ne kāñToñ se bhī dāman mujhe bharne na diyā
inhīñ alfāz meñ hai merī kahānī 'afzal'
ġham ne jiine na diyā shauq ne marne na diyā