chalo kuchh to raah tai ho na chale to bhuul hogī
abhī band har galī hai jo khulegī tuul hogī
tire husn kī vadī.at mirī jur.at-e-nazāra
tire rū-ba-rū jhukegī to nazar kī bhuul hogī
mire ham-safar baḌheñge mujhe rāsta batā kar
mire paañv se uḌī hai mire sar pe dhuul hogī
mujhe qibla-rū biThā kar mire haath uThāne vaalo
ye yaqīn bhī dilā do ki duā qubūl hogī
chalo maan leñ ye donoñ koī shai hai maslahat bhī
na sitam kā dil dukhegā na vafā malūl hogī
tirā fan-e-qissa-goī abhī daar tak hī pahuñchā
mire shauq kī kahānī abhī aur tuul hogī
vo lahū kī dhaar 'afzal' jo hai qarz ḳhanjaroñ par
na kareñge ham taqāzā na kabhī vasūl hogī