Ezaz Afzal

kis qadar masala-e-sham-o-sahar badla hai

Ezaz Afzal

Kolkata, West Bengal, India

1936
kis qadar mas.ala-e-shām-o-sahar badlā hai
jab zarā zāviya-e-fikr-o-nazar badlā hai
samt-e-manzil kā ta.ayyun nahīñ do gaam kī baat
kitne moḌ aa.e haiñ jab tarz-e-safar badlā hai
apnī āvāz pe ham chauñk uThe haiñ ḳhud bhī
ik zarā lahja-e-ehsās agar badlā hai
dasht meñ bhī kabhī is tarah na jī lagtā thā
ab ke dīvāngī badlī hai ki ghar badlā hai
aa gayā hai rasan-o-dār ke ma.amūl meñ farq
jab kabhī zābta-e-gardan-o-sar badlā hai
ab vo yak-rañgī-e-māhaul kī talḳhī to nahīñ
ham ne mai badlī na ho jaam magar badlā hai
inqalāb aayā hai is tarah bhī ghar meñ akasr
dar se dīvār na dīvār se dar badlā hai
Top Urdushayar.com