sarhad-e-jalva se jo aage nikal jā.egī
vo nazar jurm-rasā.ī kī sazā pā.egī
chashm-e-sāqī na kahīñ apnā bharam kho baiThe
aur kab tak ye mirī pyaas ko bahlā.egī
jo nazar guzrī hai tapte hue nazzāroñ se
kyā tasavvur kī ghanī chhāñv meñ so jā.egī
kyuuñ raheñ shahr bhī faizān-e-junūñ se mahrūm
aql dīvānoñ pe patthar hī to barsā.egī
hai ḳhizāñ mausam-e-afsurda-nigāhī kā naam
bujh gayā shauq to har shāḳh jhulas jā.egī