Ezaz Afzal

jism hi pamal ho jae to sar kya kijiye

Ezaz Afzal

Kolkata, West Bengal, India

1936
jism hī pāmāl ho jaa.e to sar kyā kījiye
jaan to ham ko bhī pyārī hai magar kyā kījiye
dekhte rahiye sahar ke ḳhvāb jhūTe hī sahī
mashġhala ye bhī na ho to raat bhar kyā kījiye
guftugū se rafta rafta ḳhāmushī tak aa ga.e
aur harf-e-mudda.ā ko muḳhtasar kyā kījiye
har nazar turfa tamāshā har qadam manzil na.ī
sair se fursat nahīñ miltī safar kyā kījiye
kaun jaane kitne baazū nazr-e-tūfāñ ho ga.e
phuul phal giniye shumār-e-bāl-o-par kyā kījiye
jazba-e-ābād-kārī lā.eq-e-tahsīñ magar
pattharoñ ke shahr meñ shīshoñ ke ghar kyā kījiye
saḳht-jānī apnī qismat zañg ḳhanjar kā nasīb
kashmakash meñ jaan hai 'afzal' magar kyā kījiye
Top Urdushayar.com