Ezaz Afzal

do ghaDi sae mein jalne ki aziyyat aur hai

Ezaz Afzal

Kolkata, West Bengal, India

1936
do ghaḌī saa.e meñ jalne kī aziyyat aur hai
rāste meñ ek dīvār-e-sharāfat aur hai
ab bahut duurī nahīñ va.adoñ kī manzil aa chalī
do qadam bas moḌ tak chalne kī zahmat aur hai
dāmanoñ par DhūñDhiye ab kyuuñ charāġhoñ kā lahū
ham na kahte the havā-ḳhvāhoñ kī niyyat aur hai
phir basārat kā ta.āqub phir ujāle kā safar
Dhal chukī hai raat pal do pal kī mohlat aur hai
ghar se ḳhud nikle the ḳhemoñ se nikalvā.e ga.e
vo pashemānī alag thī ye nadāmat aur hai
sub.h-e-ishrat ko shab-e-ġham ke tanāzur meñ na dekh
vo qayāmat dūsrī thī ye qayāmat aur hai
zaḳhm-zāroñ se to sab nashtar-kade nazdīk the
chārasāzo kyā huā kitnī masāfat aur hai
Top Urdushayar.com