Ezaz Afzal

naddi naddi ran paDte hain jab se naw utari hai

Ezaz Afzal

Kolkata, West Bengal, India

1936
naddī naddī ran paḌte haiñ jab se naav utārī hai
tūfānoñ ke kas-bal dekhe ab mallāh kī baarī hai
niiñd ragoñ meñ dauḌ rahī hai por por bedārī hai
jism bahut hassās hai lekin dil jazbāt se aarī hai
āvāzoñ ke paikar zaḳhmī lafzoñ ke but lahūluhān
karte haiñ iz.hār-e-tafannun kahte haiñ fankārī hai
manzil manzil paañv jamā kar ham bhī chale the ham-safaro
ukhḌī ukhḌī chaal kā baa.is raah kī nā-hamvārī hai
aañkh thakan ne kholī hai yā azm-e-safar ne karvaT lī
par phailā kar baiThoge yā uḌne kī tayyārī hai
sach kahte ho niiv meñ is kī TeḌhī koī iiñT nahīñ
āḌī-tirchhī chhat kā baa.is ghar kī kaj-dīvārī hai
kyā kahiye kyuuñ aaj saroñ se zaḳhmoñ kā bojh uTh na sakā
patthar the lekin halke the phuul hai lekin bhārī hai
bastī bastī qarya qarya kosoñ āñgan hai na muñDer
zehn ḳharāba dil vīrāna ghar a.asāb pe taarī hai
ek diyā aur itnā raushan jaise dahaktā sūraj ho
kahne vaale sach kahte haiñ raat bahut añdhiyārī hai
Top Urdushayar.com