ujāle tel chhiḌakne lage ujāloñ par
ajiib vaqt paḌā hai charāġh vāloñ par
tumhārā ālam-e-mastī Dhakā-chhupā hī sahī
mirī nigāh hai TuuTe hue pyāloñ par
tumhāre zehn meñ jo aaj chubh rahe hoñge
maiñ kal se soch rahā huuñ unhīñ savāloñ par
na uTh sakā tire tarz-e-ḳhirām se parda
havā.eñ Daal ga.iiñ ḳhaak pā.emāloñ par
muhākama na kareñ aap apnī bātoñ kā
ye kaam chhoḌ diyā jaa.e sunñe vāloñ par
musallimāt se kyuuñ qasd-e-inhirāf kyā
aqīde TuuT paḌe haiñ mire savāloñ par
ye kyā zarūr ki ruḳh sab kā ek jānib ho
fazā kī qaid lagāo na uḌne vāloñ par