ḳhvāboñ ke sanam-ḳhāne jab Dhaa.e ga.e hoñge
us daur ke sab aazar bulvā.e ga.e hoñge
tū bhī na bachī hogī ai āfiyat-andeshī
har samt se jab patthar barsā.e ga.e hoñge
phir us ne masā.il kā hal DhūñD liyā hogā
phir log masā.il meñ uljhā.e ga.e hoñge
ham guzre ki tum guzre ye dekhne kaun aatā
the jitne tamāshā.ī sab laa.e ga.e hoñge
yārān-e-qadah se kuchh laġhzish bhī huī hogī
dānista bhī kuchh sāġhar chhalkā.e ga.e hoñge
'afzal' kā muqaddar hai haq-goī-o-rusvā.ī
sach baat kahī hogī jhuTlā.e ga.e hoñge