Ezaz Afzal

lahu ne kya tere KHanjar ko dilkashi di hai

Ezaz Afzal

Kolkata, West Bengal, India

1936
lahū ne kyā tire ḳhanjar ko dilkashī dī hai
ki ham ne zaḳhm bhī khaa.e haiñ daad bhī dī hai
libās chhīn liyā hai barahnagī dī hai
magar mazāq to dekho ki aañkh bhī dī hai
hamārī baat pe kis ko yaqīn aa.egā
ḳhizāñ meñ ham ne bashārat bahār kī dī hai
dharā hī kyā thā tire shahr-e-be-zamīr ke paas
mire shu.ūr ne ḳhairāt-e-āgahī dī hai
hayāt tujh ko ḳhudā aur sar-buland kare
tirī baqā ke liye ham ne zindagī dī hai
kahāñ thī pahle ye bāzār-e-sañg kī raunaq
sar-e-shikasta ne kaisī hamāhamī dī hai
charāġh huuñ mirī kirnoñ kā qarz hai sab par
ba-qadr-e-zarf nazar sab ko raushnī dī hai
chalī na phir kisī mazlūm ke gale pe chhurī
hamārī maut ne kitnoñ ko zindagī dī hai
tire nisāb meñ dāḳhil thī āstāñ-bosī
mire zamīr ne ta.alīm-e-sarkashī dī hai
kaTegī umr safar jāda-e-āfrīnī meñ
tirī talāsh ne taufīq-e-gumrahī dī hai
hazār dīda-tasavvur hazār rañg-e-nazar
havas ne husn ko bisyār chehragī dī hai
Top Urdushayar.com