bechainiyoñ ke rañg savāloñ meñ bhar ga.e
manzil se pūchhtā huuñ ki raste kidhar ga.e
dil ko nichoḌā itnā ki ehsās mar ga.e
ḳhud ko bigāḌ kar tujhe ham paar kar ga.e
mujh ko udaas dekhā jo milne ke baad bhī
vo apne dil kā dard batāne se Dar ga.e
pūnam kī shab kā chāñd jo khiḌkī pe aa gayā
kamre meñ mere yādoñ ke gesū bikhar ga.e
sāhil kī qaid meñ kahīñ jaltī hai ik nadī
mere ḳhayāl ret ke dariyā meñ mar ga.e
vīrāniyoñ ko apnā muqaddar samajh liyā
saare fareb sah ke vo chup meñ utar ga.e
mahtāb par nahīñ hai havā bhī sukūn bhī
sannāTā dil meñ bharne ko ham kyoñ udhar ga.e