Manoj Ehsas

kabhi chanda kabhi suraj kabhi tare sambhaale hain

Manoj Ehsas

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1983
kabhī chanda kabhī sūraj kabhī taare sambhāle haiñ
suḳhnavar ke muqaddar meñ magar pairoñ ke chhāle haiñ
hamārī be-gunāhī kā yaqīñ un ko huā aise
vo jin ko chāhte haiñ ab unhīñ ke hone vaale haiñ
mirī bhūkī nigāhoñ meñ sharāfat DhūñDne vaale
tirī sone kī thālī meñ mire haq ke nivāle haiñ
hamārī jhoñpaḌī kā qad bahut ūñchā nahīñ lekin
tire mahloñ ke sab qisse hamāre dekhe bhāle haiñ
bharī mahfil meñ aa ke pūchhte haiñ haal merā vo
takalluf bhī nirālā hai irāde bhī nirāle haiñ
chalo ab is jahāñ kī soch se nazreñ haTā leñ ham
jahāñ tak dekhte haiñ har kisī ke haath kaale haiñ
Dubo kar mere ḳhvāboñ kā safīna paar utro tum
aur is 'ehsās' ke sapne to lahroñ ke havāle haiñ
Top Urdushayar.com