Manoj Ehsas

meri aankhon se aise dard ka rishta nikal aaya

Manoj Ehsas

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1983
mirī āñkhoñ se aise dard kā rishta nikal aayā
jise rakkhā nigāhoñ meñ vahī qatra nikal aayā
vo jis ko saarī duniyā kī ḳhudā ne baḳhsh dī daulat
usī ke ghar mirā khoyā huā kāñsā nikal aayā
maiñ dasrath māñjhī kā qissa bhī is misre meñ kahtā huuñ
kisī kī zid ke aage nuur kā rasta nikal aayā
jo us ne kah diyā gar vaah bin samjhe ġhazal merī
mire sar bhī ka.ī alfāz kā ḳharcha nikal aayā
hai kuchh to qāfiya baḌhiyā zarā mujh meñ bhī sastī hai
baḌī mushkil hai terī yaad kā sadma nikal aayā
zarā sī der meñ saarā fasāna likh ga.e qātil
banā.ī barsoñ kī buniyād pe jhagḌā nikal aayā
maiñ tere ishq kī bātoñ ko kaise hū-ba-hū likh duuñ
kahīñ qatra nikal aayā kahīñ dariyā nikal aayā
baḌī mushkil meñ huuñ dilbar alag andāz se tere
yuuñ kaise jhiil sī āñkhoñ meñ ye sahrā nikal aayā
ġhazal meñ mujh ko apnī baat kahne kā salīqa de
zarā se ilm se 'ehsās' par ḳhatra nikal aayā
Top Urdushayar.com