Mehshar Afridi

tere KHamosh takallum ka sahaara ho jaun

Mehshar Afridi

Roorkee, Uttarakhand, India

tere ḳhāmosh takallum kā sahārā ho jā.ūñ
terā andāz badal duuñ tirā lahja ho jā.ūñ
tū mire lams kī tāsīr se vāqif hī nahīñ
tujh ko chhū luuñ to tire jism kā hissa ho jā.ūñ
tere hoñToñ ke liye hoñT mere āb-e-hayāt
aur koī jo chhue zahr kā pyāla ho jā.ūñ
kar diyā tere taġhāful ne adhūrā mujh ko
ek hichkī agar aa jaa.e to puurā ho jā.ūñ
dil ye kartā hai ki is umr kī pagDanDī par
ulTe pairoñ se chalūñ phir vahī laḌkā ho jā.ūñ
apnī takmīl kā kuchh zā.iqa tabdīl karūñ
tujh se bichhḌūñ maiñ zarā der adhūrā ho jā.ūñ
dil ki sohbat mujhe har vaqt javāñ rakhtī hai
aql ke saath chalā jā.ūñ to buDDhā ho jā.ūñ
is qadar chīḳhtī rahtī hai ḳhāmoshī mujh meñ
shor kānoñ meñ utar jaa.e to bahrā ho jā.ūñ
tere chaḌhte hue dariyā ko pashemāñ kar duuñ
tujh ko paane ke liye ret kā sahrā ho jā.ūñ
aap hastī ko tire shauq pe qurbān karūñ
tū agar toḌ ke ḳhush ho to khilaunā ho jā.ūñ
Top Urdushayar.com