tere hoñThoñ ke tabassum kā talabgār huuñ maiñ
apne ġham bech de raddī kā ḳharīdār huuñ maiñ
merī hālat pe takabbur nahīñ afsos bhī kar
terā āshiq nahīñ jānāñ tirā bīmār huuñ maiñ
kal tirī hosh-ruhā.ī se huā thā āzād
aaj phir ik na.e jaadū meñ giraftār huuñ maiñ
in dinoñ yuuñ ki tirā ishq garāñ hai mujh par
be-dilī aisī ke apne se hī bezār huuñ maiñ
mere har ġham kī kifālat bhī mirā zimma hai
apne ġham-ḳhāna-e-hastī kā azādār huuñ maiñ
hañste hañste mirī āñkhoñ meñ namī aa ga.ī hai
tū ne dekhā nahīñ kis darja adākār huuñ maiñ