lab-e-sāhil samundar kī farāvānī se mar jā.ūñ
mujhe vo pyaas hai shāyad ki maiñ paanī se mar jā.ūñ
tum us ko dekh kar chhū kar bhī zinda lauT aa.e ho
maiñ us ko ḳhvāb meñ dekhūñ to hairānī se mar jā.ūñ
maiñ itnā saḳht-jāñ huuñ dam baḌī mushkil se niklegā
zarā taklīf baḌh jaa.e to āsānī se mar jā.ūñ
ġhanīmat hai parinde merī tanhā.ī samajhte haiñ
agar ye bhī na hoñ to ghar ke vīrāne se mar jā.ūñ
nazar-andāz kar mujh ko zarā sā khul ke jiine de
kahīñ aisā na ho terī nigahbānī se mar jā.ūñ
bahut se sher mujh se ḳhuun thukvāte haiñ aamad par
bahut mumkin hai maiñ ek din ġhazal-ḳhvānī se mar jā.ūñ
tirī nazroñ se gir kar aaj bhī zinda huuñ maiñ kyā ḳhuub
taqāzā hai ye ġhairat kā pashemānī se mar jā.ūñ