maraz ke vāste itnī davā ziyāda hai
mire savāl se terī atā ziyāda hai
tumhārī sub.h meñ ek rañg hai nadāmat kā
mujhe bhī raat se ḳhauf-e-ḳhudā ziyāda hai
mirī vafāoñ kī ujrat tumhārī jaan meñ hai
mire hisāb se ye ḳhūñ-bahā ziyāda hai
sharāb-e-ishq hai donoñ ke jaam meñ lekin
mirī sharāb meñ ḳhūn-e-vafā ziyāda hai
na jaane Dhal gayā kaise maiñ tere sāñche meñ
mire mizāj meñ vaise anā ziyāda hai
ye shohrateñ na.e dushman bahut banātī haiñ
sambhal ke rahnā tumhārī havā ziyāda hai