havā ke chalte hī bādal kā saaf ho jaanā
jo habs TūTnā bārish ḳhilāf ho jaanā
mire ḳhamīr kī dahqāniyat jatātā hai
ye tum se mil ke mirā shiin qaaf ho jaanā
ġhurūr-e-husn se koī umiid mat karnā
ḳhatā.eñ karnā to ḳhud hī muaaf ho jaanā
maiñ tez dhuup meñ jal kar bhī yaad kartā huuñ
vo sard raat meñ us kā lihāf ho jaanā
mujh aise shaḳhs ko raushan-zamīr kar degā
vo be-qarār hai ye inkishāf ho jaanā