nashe kī aag meñ dekhā gulāb ya.anī tū
badan ke jaam meñ desī sharāb ya.anī tū
hamāre lams ne sab taar kas diye us ke
vo jhanjhananey ko bekal rabāb ya.anī tū
har ek chehra nazar se chakhā huā dekhā
har ik nazar se achhūtā shabāb ya.anī tū
safed qalameñ huiiñ to siyah-zulf milī
ab aisī umr meñ ye inqalāb ya.anī tū
mai ḳhud hī apnī nigāhoñ ki daad detā huuñ
hazar chehroñ meñ ik intiḳhāb ya.anī tū
mile mile na mile nekiyoñ kā phal mujh ko
ḳhudā ne de diyā mujh ko savāb ya.anī tū
gudāz jism kamal hoñT marmarī bāheñ
mirī tabī.at pe likkhī kitāb ya.anī tū
maiñ tere ishq se pahle gunāh kartā thā
mujhe diyā gayā dilkash azaab ya.anī tū