jo chand lamhoñ meñ ban gayā thā vo silsila ḳhatm ho gayā hai
ye tum ne kaisā yaqīñ dilāyā muġhālta ḳhatm ho gayā hai
zabān hoñToñ pe jā ke phīkī hī lauT aatī hai kuchh dinoñ se
namak nahīñ hai tire laboñ meñ yā zā.iqa ḳhatm ho gayā hai
gumān gaañv se maiñ chalā thā yaqīn kī manziloñ kī jānib
magar tavahhum ke jañgaloñ meñ hī rāsta ḳhatm ho gayā hai
vo guftugūoñ ke narm chashme kahīñ fazā meñ hī jam ga.e haiñ
vo saare message vo shā.irī kā tabādala ḳhatm ho gayā hai
kal ek sadma paḌā thā ham par ke jis ne dil ko hilā diyā thā
chalo ke siine kā jā.eza leñ ki zalzala ḳhatm ho gayā hai
mire tasavvur meñ itnī vus.at nahīñ ke terā badan samā.e
maiñ tujh ko sochūñ to aisā lagtā hai hāfiza ḳhatm ho gayā hai
maiñ tujh ko pā kar hī mutma.in huuñ ab aur koī talab nahīñ hai
jo aaj tak thā nasīb se vo mutālba ḳhatm ho gayā hai