manzar se kabhī dil ke vo haTtā hī nahīñ hai
ik shahr jo baste hue dekhā hī nahīñ hai
kuchh manzileñ ab apnā pata bhī nahīñ detīñ
aur rāsta aisā hai ki kaTtā hī nahīñ hai
ik naqsh ki ban ban ke bigaḌtā hī rahā hai
ik ḳhvāb ki puurā kabhī hotā hī nahīñ hai
kyā ham pe guzartī hai tumheñ kaise batā.eñ
tum ne to palaT kar kabhī pūchhā hī nahīñ hai
ik umr gañvā.ī hai to phir dil ko milā hai
vo dard ki jis kā koī chāra hī nahīñ hai
ye ishq kī vaadī hai zarā soch samajh lo
is raah pe paañv koī dhartā hī nahīñ hai
DhūñDe se ḳhudā miltā hai insān hai vo to
tum ne use 'shabnam' kabhī DhūñDā hī nahīñ hai