Shabnam Shakeel

kitne anjaan jaziron mein mujhe le ke chala

Shabnam Shakeel

Lahore, Punjab, Pakistan

1942-2013
kitne anjān jazīroñ meñ mujhe le ke chalā
dil ki an-dekhe zamānoñ meñ mujhe le ke chalā
maiñ ne kyā rañg sajā.e the tire ḳhvāboñ meñ
aur tū kaise sarāboñ meñ mujhe le ke chalā
be-ridā.ī ke bhī din dekhne vaale the ki jab
hākim-e-vaqt asīroñ meñ mujhe le ke chalā
use ma.alūm thā nisbat mirī sādāt se hai
jo baraste hue tīroñ meñ mujhe le ke chalā
jab bhī kholā hai da-e-shahr-e-masarrat to koī
phir se nāshād jahānoñ meñ mujhe le ke chalā
dil ko be-rañg sī mahfil hī faqat bhātī thī
vahī vīrān se chehroñ meñ mujhe le ke chalā
jā rahī thī maiñ kidhar ko magar ai umr-e-ravāñ
vaqt ye kaun se lamhoñ meñ mujhe le ke chalā
Top Urdushayar.com