Shabnam Shakeel

na puchh dekh ke kitna malal hota hai

Shabnam Shakeel

Lahore, Punjab, Pakistan

1942-2013
na pūchh dekh ke kitnā malāl hotā hai
jo ḳhvāb dekhne vāloñ kā haal hotā hai
laboñ pe mohr-e-ḳhamoshī lagā.ī jaatī hai
aur is ke ba.ad hamīñ se savāl hotā hai
jab aa.ī shām-s-masāfat to phir ye raaz khulā
zarā sī der uruuj o zavāl hotā hai
har ek shaḳhs kī apnī hī ek duniyā hai
kahāñ kisī ko kisī kā ḳhayāl hotā hai
har ek auj-e-mohabbat pe aa nahīñ saktā
kisī kisī meñ hī aisā kamāl hotā hai
rukī huī huuñ ik aaise savāl par 'shabnam'
javāb jis kā hamesha muhāl hotā hai
Top Urdushayar.com