Shabnam Shakeel

zauq-e-nazar ko izn-e-nazara na mil saka

Shabnam Shakeel

Lahore, Punjab, Pakistan

1942-2013
zauq-e-nazar ko izn-e-nazāra na mil sakā
tanhā kabhī vo anjuman-ārā na mil sakā
ham par to jald khul gayā sāhil kā sab bharam
achchhe rahe vo jin ko kināra na mil sakā
yak-tarfa rābta hī nibhānā paḌā hameñ
un kī taraf se koī ishāra na mil sakā
tum bhī qusūr-vār nahīñ qissa muḳhtasar
merā tumhāre saath sitāra na mil sakā
shahroñ kī ḳhaak chhānī khañgāle haiñ dasht o dar
lekin hameñ surāġh hamārā na mil sakā
maiñ bhī thī ḳhud-pasand nahīñ is meñ shak koī
aksar to par mizāj tumhārā na mil sakā
ai kaash sāthiyoñ se vo apne kabhī kahe
'shabnam' sā koī mujh ko dobāra na mil sakā
Top Urdushayar.com