Shabnam Shakeel

baat ima-o-ishaaraat se baDhi aap hi aap

Shabnam Shakeel

Lahore, Punjab, Pakistan

1942-2013
baat īmā-o-ishārāt se baḌhī aap hī aap
us kī qurbat meñ bahalne lagā jī aap hī aap
taaza kaliyoñ ke tabassum kā sabab kyā hogā
aayā kartī hai javānī meñ hañsī aap hī aap
zard hāthoñ pe mohabbat kī lahū rañg-e-hinā
vaqt aayā to rachī aur rachī aap hī aap
bas ki rakkhā thā makāñ muddatoñ tum ne ḳhālī
is meñ bad-rūh koī basne lagī aap hī aap
raakh bante vahī chehra nahīñ dekhā jaatā
jis ke sho.ale kī kabhī dhuum machī aap hī aap
bint-e-havvā kisī chehre se na dhokā khaa.e
keñchulī saañp badaltā hai na.ī aap hī aap
kaash aisā bhī ho qīmat na adā karnī paḌe
aur mil jaa.e mujhe koī ḳhushī aap hī aap
Top Urdushayar.com