haiñ manāzir sab baham-parda nazar baaqī nahīñ
sāmne manzil hai lekin rahguzar baaqī nahīñ
shā.irī jis ne chhuḌā.e the jahāñ ke kārobār
ab takalluf bartaraf is meñ hunar baaqī nahīñ
shahr-e-nau meñ kyuuñ rahe ab ye shikasta sā makāñ
gar khaḌī dīvār koī hai to dar baaqī nahīñ
vo to jaadū kā banā thā haa.e aisā hī na ho
lauT kar pahuñchūñ to dekhūñ ab vo ghar baaqī nahīñ
mutma.in the ḳhush the aur duniyā meñ bhī masrūf the
ham to samjhe the ki ab fan kā safar baaqī nahīñ
ab ye lāzim hai ki is duniyā meñ jiinā siikh luuñ
ḳhuub par qaane rahūñ jab ḳhūb-tar baaqī nahīñ
aap sone kā qafas laane kī zahmat mat kareñ
ham vo taa.ir haiñ ki jin ke bāl-o-par baaqī nahīñ