Shabnam Shakeel

wahan bhi zahr-zaban kaam kar gaya hoga

Shabnam Shakeel

Lahore, Punjab, Pakistan

1942-2013
vahāñ bhī zahr-zabāñ kaam kar gayā hogā
ki aadmī thā vo bātoñ se Dar gayā hogā
thī maiñ bhī us pe hañsī mil ke is jahāñ ke saath
ye sun ke sharm se shāyad vo mar gayā hogā
hazār baar sunā phir bhī dil nahīñ maanā
ki mere pyaar se dil us kā bhar gayā hogā
na.e makīn haiñ ab vaañ use ḳhabar kab thī
baḌe ḳhulūs se vo mere ghar gayā hogā
koī darīcha khulā rah gayā thā āñdhī meñ
mirā vajūd yaqīnan bikhar gayā hogā
vo jāntā to hai mahfil ke bhī sabhī ādāb
jo dekh kar nahīñ uTThā to Dar gayā hogā
na ho jo sat.h pe halchal to is se ye na samajh
chaḌhā huā thā jo dariyā utar gayā hogā
Top Urdushayar.com