Shabnam Shakeel

be-wajh tahaffuz ki zarurat bhi nahin hai

Shabnam Shakeel

Lahore, Punjab, Pakistan

1942-2013
be-vaj.h tahaffuz kī zarūrat bhī nahīñ hai
aisī mire andar koī aurat bhī nahīñ hai
haañ un ko bhulā Dāleñge ik umr paḌī hai
is kaam meñ aisī koī ujlat bhī nahīñ hai
kis muñh se gila aisī nigāhoñ se ki jin meñ
pahchān kī ab koī alāmat bhī nahīñ hai
un ko bhī mujhe sher sunāne kā huā hukm
kuchh sher se jin ko koī nisbat bhī nahīñ hai
mere bhī to maazī kī bahut sī haiñ kitābeñ
par un ko palaTne kī to fursat bhī nahīñ hai
kuchh tum se gila aur kuchh apne se ki mujh ko
har haal meñ ḳhush rahne kī aadat bhī nahīñ hai
maiñ dafan rahūñ ab yūñhī resham ke kafan meñ
ab is ke sivā aur to sūrat bhī nahīñ hai
Top Urdushayar.com