Shabnam Shakeel

mausam ke pas koi KHabar moatabar bhi ho

Shabnam Shakeel

Lahore, Punjab, Pakistan

1942-2013
mausam ke paas koī ḳhabar mo'atabar bhī ho
mauj-e-havā ke saath tirā nāma-bar bhī ho
sun legā terī chaap to dhaḌkegā der tak
laakh apne gird-o-pesh se dil be-ḳhabar bhī ho
arzāñ se log bhāgte us ko to ġham nahīñ
lāzim nahīñ ki husn meñ husn-e-nazar bhī ho
barsoñ se jis makāñ meñ merī būd-o-bāsh hai
ab kyā ye lāzmī hai vahī merā ghar bhī ho
sustā.e jis ke saa.e meñ har aarzū mirī
is dil ke sahn meñ koī aisā shajar bhī ho
shah-rāh-e-raushnī pe chalā hai jo mere saath
tārīk rāstoñ meñ mirā ham-safar bhī ho
kitne hī phuul chehre dhuāñ ban ke rah ga.e
is sānehe se kaash koī bā-ḳhabar bhī ho
us ke liye to daav pe ḳhud ko lagā deñ ham
tadbīr vo batāo ki jo kārgar bhī ho
jaage hue guloñ hī se 'shabnam' ko pyaar hai
mumkin hai koī shai tire zer-e-asar bhī ho
Top Urdushayar.com