safar kī āḳhirī manzil ke rāhbar ham haiñ
hamāre saath chalo gard-e-rahguzar ham haiñ
likhī haiñ chehroñ pe jo surḳhiyāñ paḌho un ko
ḳhabar ho aam ki duniyā se bā-ḳhabar ham haiñ
akelā-pan hameñ mahsūs kab huā ab tak
ki dasht dasht haiñ lekin nagar nagar ham haiñ
ghanere saa.e na DhūñDo yahīñ pe dam lo zarā
ki jis kī chhāñv meñ ThanDak hai vo shajar ham haiñ
samundaroñ se kaho vo simaT ke aa jaa.eñ
ki is jahāñ meñ akele hī kūza-gar ham haiñ
vo ḳhuub shaḳhs hai dekhā hai mil ke ham ne use
magar hai ye bhī haqīqat ki ḳhūb-tar ham haiñ