mirā jiinā gavāhī de rahā hai
abhī mujh ko bahut kuchh dekhnā hai
mujhe hairat hai apne dil pe kitnī
ye merā saath ab tak de rahā hai
koī roke ravānī āñsuoñ kī
ye dariyā bahte bahte thak gayā hai
maiñ paḌh saktī huuñ un-likkhe ko ab bhī
ye kashf-e-zāt hai yā ik sazā hai
ye kaisī sāzishoñ meñ ghar ga.ī huuñ
mujhe mujh se chhupāyā jā rahā hai
ghane jañgal meñ tanhā chhoḌ kar vo
kahīñ se chhup ke mujh ko dekhtā hai
ḳhudā-hāfiz mire ai ham-nashīno
ki mujh ko to bulāvā aa gayā hai
kashish kuchh is qadar hai mujh meñ 'shabnam'
samundar merī jānib baḌh rahā hai