ā.īn-e-vafā itnā bhī saada nahīñ hotā
har baar masarrat kā i.aada nahīñ hotā
ye kaisī sadāqat hai ki pardoñ meñ chhupī hai
iḳhlās kā to koī labāda nahīñ hotā
jañgal ho ki sahrā kahīñ ruknā hī paḌegā
ab mujh se safar aur ziyāda nahīñ hotā
ik aañch kī pahle bhī kasar rahtī rahī hai
kyuuñ sātvāñ dar mujh pe kushāda nahīñ hotā
sach baat mire muñh se nikal jaatī hai aksar
har-chand mirā aisā irāda nahīñ hotā
ai harf-e-sanā sehr-e-musallam tirā tujh se
baḌh kar to koī sāġhar-e-bāda nahīñ hotā
afsāna-e-afsūn-e-javānī ke alāva
kis baat kā duniyā meñ i.aada nahīñ hotā
sūraj kī rifāqat meñ chamak uThtā hai chehra
'shabnam' kī tarah se koī saada nahīñ hotā