Shabnam Shakeel

gae baras ki yahi baat yaadgar rahi

Shabnam Shakeel

Lahore, Punjab, Pakistan

1942-2013
ga.e baras kī yahī baat yādgār rahī
fazā ġhamoñ ke liye ḳhuub sāzgār rahī
agarche faisla har baar apne haq meñ huā
sazā-e-jurm bahar-hāl barqarār rahī
badaltī dekhīñ vafādāriyāñ bhī vaqt ke saath
vafā jahāñ ke liye ek kārobār rahī
ab apnī zaat se bhī e'timād un kā uThā
vo jin kī baat kabhī harf-e-e'tibār rahī
ḳhabar thī go use ab mojaze nahīñ hote
hayāt phir bhī magar mahv-e-intizār rahī
na koī harf-e-malāmat na koī kalma-e-ḳhair
ye ziist ab na kisī kī bhī zer-e-bār rahī
ye aur baat ki dil ġham meñ ḳhud kafīl huā
magar vo aañkh mire ġham meñ ashk-bār rahī
Top Urdushayar.com