badal chukī hai har ik yaad apnī sūrat bhī
vo ahd-e-rafta kā har ḳhvāb har haqīqat bhī
kuchh un ke kaam nikalte haiñ dushmanī meñ mirī
maiñ dushmanoñ kī hamesha se huuñ zarūrat bhī
kisī bhī lafz ne thāmā nahīñ hai haath mirā
maiñ paḌh ke dekh chukī āḳhirī ibārat bhī
ye jis ne rok liyā mujh ko aage baḌhne se
vo merī be-ġharazī thī mirī zarūrat bhī
mirī shikasta-dilī hī ba-rū-e-kār aa.ī
vagarna vaqt to kartā nahīñ ri.āyat bhī
maiñ apnī baat kisī se bhī kar na pā.ūñgī
mujhe tabāh karegī ye merī aadat bhī
maiñ kaise baat bhalā dil kī maan luuñ 'shabnam'
ki us ko mujh se mohabbat bhī thī adāvat bhī
ye merā ijz ki dil meñ use utarne diyā
ye us kā maan ki māñgī nahīñ ijāzat bhī