Shabnam Shakeel

dar aaya andhera aankhon mein aur sab manzar dhundlae hain

Shabnam Shakeel

Lahore, Punjab, Pakistan

1942-2013
dar aayā añdherā āñkhoñ meñ aur sab manzar dhundlā.e haiñ
ye vaqt hai dil ke Dūbne kā aur shaam ke gahre saa.e haiñ
ye zarā zarā sī ḳhushiyāñ bhī to laakh jatan se miltī haiñ
mat chheḌo ret-gharoñdoñ ko kis mushkil se ban paa.e haiñ
vo lamha dil kī aziyyat kā to guzar gayā ab sochne do
kyā kahnā hogā un se mujhe jo pursish-e-ġham ko aa.e haiñ
jaltī huī sham.oñ ne aksar ehsās kī raakh ko bhaḌkāyā
qurbat meñ damakte chehroñ kī tanhā.ī ke dukh yaad aa.e haiñ
sochoñ ko tar-o-tāza rakkhā 'shabnam' tire paiham ashkoñ ne
hairat hai ki ahd-e-ḳhizāñ meñ bhī ye phuul nahīñ kumhlā.e haiñ
Top Urdushayar.com