Shabnam Shakeel

hamrah mere koi musafir na chala tha

Shabnam Shakeel

Lahore, Punjab, Pakistan

1942-2013
hamrāh mire koī musāfir na chalā thā
dhokā mujhe ḳhud apnī hī aahaT se huā thā
masdūd huī jis kī har ik rāh-e-sarāsar
is saf meñ mujhe lā ke khaḌā kis ne kiyā thā
jumbish hī se hoñToñ kī jo kuchh samjho to samjho
is guñg-mahal meñ to bas itnā hī ravā thā
ta.amīr hue ghar to ga.e jaane kahāñ vo
jin ḳhāna-ba-doshoñ kā yahāñ ḳhema lagā thā
dhundlā.e ḳhad-o-ḳhāl gar us ke to ajab kyā
dekhe hue yuuñ bhī use yug biit gayā thā
shab sho.ala-ba-dāmāñ to sahar soḳhta-sāmāñ
do ruup badaltā thā ajab vo bhī diyā thā
Top Urdushayar.com