Shabnam Shakeel

akasr apne dar-pae-azar ho jate hain hum

Shabnam Shakeel

Lahore, Punjab, Pakistan

1942-2013
akasr apne dar-pa.e-āzār ho jaate haiñ ham
sochte haiñ is qadar bīmār ho jaate haiñ ham
muztarib Thahre so shab meñ der se aatī hai niiñd
sub.h se pahle magar bedār ho jaate haiñ ham
naam kī ḳhvāhish hameñ kartī hai sargarm-e-amal
is amal se bhī magar bezār ho jaate haiñ ham
jhūTā va.ada bhī agar kartī hai malne kā ḳhushī
vaqt se pahle bahut tayyār ho jaate haiñ ham
bhuul kar vo baḳhsh de gar raushnī kī ik kiran
dā.imī shohrat ke da.avedār ho jaate haiñ ham
mutma.in honā bhī apne be-ḳhabar hone se hai
be-sukūñ hote haiñ jab hushiyār ho jaate haiñ ham
ik zarā sī baat aur phir ashk thamte hī nahīñ
lahr sī ik dil meñ aur sarshār ho jaate haiñ ham
Top Urdushayar.com