Shabnam Shakeel

majbur hain par itne to majbur bhi nahin

Shabnam Shakeel

Lahore, Punjab, Pakistan

1942-2013
majbūr haiñ par itne to majbūr bhī nahīñ
jab un ko bhuul jaa.eñ vo din duur bhī nahīñ
kuchh to likhī haiñ apne muqaddar meñ gardisheñ
kuchh pyaar meñ nibāh kā dastūr bhī nahīñ
maiñ ne sunā hai tark-e-ta.alluq ke ba.ad se
afsurda gar nahīñ to vo masrūr bhī nahīñ
dekhī haiñ maiñ ne aisī bhī dukhiyā suhāganeñ
byāhī haiñ aur maañg meñ sindūr bhī nahīñ
ye jis kā zahr ruuh meñ merī utar gayā
halkā sā ghaav thā koī nāsūr bhī nahīñ
us kī nazar se kyuuñ kabhī guzre mirī ġhazal
aisī to ḳhaas maiñ koī mash.hūr bhī nahīñ
Top Urdushayar.com