vo to ā.īna-numā thā mujh ko
kis liye us se gila thā mujh ko
de gayā umr kī tanhā.ī mujhe
ek mahfil meñ milā thā mujh ko
tā mujhe chhoḌ sako patjhaḌ meñ
is liye phuul kahā thā mujh ko
tum ho markaz merī tahrīroñ kā
tum ne ik ḳhat meñ likhā thā mujh ko
maiñ bhī kartī thī bahāroñ kī talāsh
ek saudā sā huā thā mujh ko
ab pashīmān haiñ duniyā vaale
ḳhud hī maslūb kiyā thā mujh ko
ab dhaḌaktā hai magar sūrat-e-dil
zaḳhm ik tum ne diyā thā mujh ko