Shabnam Shakeel

ham-nashino kuchh nahin rakkha yahan par kuchh nahin

Shabnam Shakeel

Lahore, Punjab, Pakistan

1942-2013
ham-nashīno kuchh nahīñ rakkhā yahāñ par kuchh nahīñ
chhoḌ do is kī havas duniyā ke andar kuchh nahīñ
dar khulā hī rahne do ghar se nikalte vaqt tum
kuchh agar hai to tumhārī zaat hai ghar kuchh nahīñ
baa.eñ meñ sūraj rahe aur chāñd dahne haath meñ
dil agar raushan nahīñ to shobada-gar kuchh nahīñ
maiñ sarāpā raat bhī huuñ maiñ sarāpā sub.h bhī
mujh se kam-tar kuchh nahīñ aur mujh se bartar kuchh nahīñ
ik chamak āñkhoñ meñ aa jaatī hai us ko dekh kar
varna dil to muttafiq hai aap se, zar kuchh nahīñ
aa.ine se ro ke pūchhā jab kabhī maiñ kaun huuñ
ā.īna bolā vahīñ fauran palaT kar kuchh nahīñ
vaqt ne sab duur kar dī haiñ mirī ḳhush-fahmiyāñ
ye mirā muḳhlis hai mujh ko is se baḌh kar kuchh nahīñ
Top Urdushayar.com