haath na aa.ī duniyā bhī aur ishq meñ bhī gumnām rahe
soch ke ab sharminda haiñ kyuuñ donoñ meñ nākām rahe
ab tak us ke dam se apnī ḳhush-fahmī to qaa.em hai
achchhā hai jo baat meñ is kī thoḌā sā ib.hām rahe
ham ne bhī kuchh naam kiyā thā ham ko bhī e.azāz mile
ishq meñ ham bhī ik muddat tak morid-e-sad-dushnām rahe
mere paas to apne liye bhī aksar koī vaqt na thā
haañ jo farāġhat ke lamhe the terī yaad ke naam rahe
vāqif-e-hāl to hai vo apnā munsif-e-jāñ-dār sahī
us ke har insāf kā lekin mere sar ilzām rahe
aaj kā din bhī be-masraf sī sochoñ hī meñ biit gayā
aaj ke din bhī yuuñ hī paḌe phir ghar ke saare kaam rahe