ye silsile bhī rifāqat ke kuchh ajiib se haiñ
ki duur duur ke manzar bahut qarīb se haiñ
qabā-e-zar hai anā kī agarche zeb-e-badan
magar ye ahl-e-hunar dil ke sab ġharīb se haiñ
yahāñ to sab hī ishāroñ meñ baat karte haiñ
ajiib shahr hai is ke makīñ ajiib se haiñ
maiñ zindagī meñ marūñgī na jaane kitnī baar
mujhe ḳhabar hai ki rishte mire salīb se haiñ
ye aur baat ki us kī chahak se khiltā hai
hazār shikve magar gul ko andalīb se haiñ
use to apnī ḳhabar bhī yahāñ nahīñ miltī
umīdeñ tum ko bahut jis alam-nasīb se haiñ